apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kiya kiya dekhun
neend ajaye to kiya mehfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhun
sham bhi ho gai dhundhla gai ankhen bhi meri
bhoolne wale main kab tak tera rasta dekhun
sab zidein us ki main puri karoon har bat sunoon
ek bache ki tarah se usay hansta dekhoon
mujh pe chha jaye woh barsat ki khushbo ki tarah
ang ang apna usi rut main mahkta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
jee main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun
tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kiyoon tere liye dil ko dharakta dekhun......!!